KADARDAN AUR BHI HEIN KAVITAON KE
DEKHNE WALI NAZAR CHAHIYE
AUR
KAVITAON KO SAMAJHNE KE LIYE DIMAG NAHIN DIL CHAHIYE
BHATAK GAYA THA APNE HI AASIYANE MEIN
SIMAT GAYA THA ANDEKHI MANJIL MEIN
GUM SUM THA APNI HI DUNIYA MEIN
DARD BADH GAYA SEENE MEIN TAB
KAVITAON KE SAHARE HI KHUD KI PEHCHAN BANAI
HAT KAR GAMON SE DUR KAVITAON KI MEHFIL JAMAI
MANJIL TO DIKHI MAGAR ANDHERA PAD GAYA SOCHA THA KUCH KUCH AUR HO GAYA
KAVITAON KA SAFAR JO RUK GAYA THA UMMEED KI KIRAN SE PHIR SE UBHAR GAYA DARD KO SAMETNE KA SAHARA MILGAYA
JINDAGI KO CHALANE KA BAHANA MIL GAYA